Tuesday, March 3, 2015

Bichad Kar Raah-e-Ishq MeN Iss Kadar Hue Tanha

Bichad Kar Raah-e-Ishq MeN Iss Kadar Hue Tanha
Thakke Tanha, Girre Tanha,Utthe Tanha, Chale Tanha...........


Mere Dard Ka Tujhe Kuch Gumaan Tha Ki Nahi
Jashn Ki Teh Mein Soz-e-Nihaan Tha Ki Nahi

Tera Naam Likh-Likh Kar Guzara Har Ek Pal Ko
Kisi Kitaab MeN Mera Bhi Naam-0-Nishaan Tha Ki Nahi

Iss Dil Se Ho Kar Jaise Guzar Gaya Ek Karvaan..!!
Main Dekhta Raha,Jalte Chirag MeN Dhuaan Tha Ki Nahi

Woh Ek Lamha Tere Deed ka Jo Umar Bhar Rukha Raha..!!
Sochta Hoon,Waqt Hum Par Kabhi Meharbaan Tha Ki Nahi

Main Na Mil SakuN Bhi To Kya Ke Main Ek Fasana Hoon
Kabhi Teri YadoN MeN Mera Koi Nishaan Tha Ki Nahi

Kabhi Akeli Shaam MeN Mere Likhe LafzoN Ko Padh kar Dekhna
JahaaN "Khwahish" Ka Zikr Ho, Tu Wahaan  Tha Ki Nahi

Aaj Laaiba Ji ki Ek Nazm padhi Thi

Aaj Laaiba Ji ki Ek Nazm padhi Thi Jo Dil Ke Bahut kareeb mehsoos Hui..Laaiba Ji Ki Nazm Se Inspired Aur Unki Izzazat Se Title Line Ko lekar Ek Nazm Pesh Kar Raha Hoon...Thankyou Laaiba Ji..


Bahut Din Hue Tumko Socha Nahi Tha..

Haan Kuch Pal Jo Guzar Chuke The
Kuch Aise Zakhm Jo Bhar Chuke The
Kuch Yaadein Hum Dafan Kar Chuke The

Par Inn AshqoN Ko Kabhi Roka Nahi Tha
Bahut Din Hue Tumko Socha Nahi Tha..


Tere Hone Se Khud Ko Muqammal Samajhta Tha
Tujhse Do Pal bhi Juda Hone Se Darta Tha
Tujhe Paane ke Liye Kaanton Se Guzarta Tha

Mushkilon Se Darr Ke Kabhi Lauta Nahi Tha
Bahut Din Hue Tumko Socha Nahi tha...


Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai
Waqt Apna Sab kuch Lekar Guzar Jaata Hai

Par Apne Kisi zakhm Ko Kharocha Nahi Tha
Bahut Din Hue Tumko Socha Nahi Tha...


Yeh sach Hai Kabhi Do Kinaare Nahi Milte
Doobne Wale Ko paas Koi Sahaare Nahi Milte
Jo Roshan kar Sake Woh Sitaare Nahi Milte

Tujhse Door Hona Majboori Th Koi Dhoka Nahi Tha
Bahut Din Hue Tumko Socha Nahi Tha.........



           ~~~~~Khwahish~~~~~~

Naa Jane Kyun Iss Shehar MeN Yeh Charcha Raha Bahut







Naa Jane Kyun Iss Shehar MeN Yeh Charcha Raha Bahut
Sab Ke Saath Reh Kar Bhi,Main Tanhaa Raha Bahut...!!

Humesha Sach Keh Dene Ki Aadat Ne Mujhe Bura Bana Diya
Jhoot Ki Duniya MeN Sach Har Ek Ko Chuubta Raha Bahut

Muddatein Guzar Gayi Usne Mera Haal Tak Naa Pucha..!!
Ek Main Tha Uss Ke Haq Mein Nazmein Likhta Raha Bahut

Badalte Hue Halaat Aksar Insaan Ko Jeena Seekha Dete HaiN
Ek Waqt Tha Jab Apne Saaye Se Bhi Main Darta Raha Bahut

Meri Kahani Ka Yeh Ek Hissa,Maine Aaj Tak Sab Se Chupaya Hai
Bure Daur MeN Jahan Marna Asaan Tha,Wahan Main Jeeta Raha Bahut

Insaan Ki Khoobiyan Aaj Dhan-Daulat,Shohrat Se Naapi Jaati HaiN
Sach Kahoon To Mere Bhi -Gird Yeh Ek Tamaasha Raha Bahut

"Khwahish" Keemat Unn AshqoN Ki HaiN Jo Aankhon Se Bahe Nahi.!!
Rona Asaan Hai,Insaan Waheen Hai Jo Har Haal MeN Hasta Raha Bahut


 

Tujh Se Milkar Jo Mili Hai Mujhe Raahat Kabhi Naa Thi

 
Tujh Se Milkar Jo Mili Hai Mujhe Raahat Kabhi Naa Thi
Hairaan Hoon Main, Kisi Se Aisi Chaahat Kabhi Naa Thi

Yeh Alag Baat Ke Khamosh Rehna Bhi Bahut Zaroori Hai...!!!
Yeh Baat Aur,Khamosh Rehne Ki Mujhe Aadat Kabhi Naa Thi

Kya Khabar Tum Ko ,Ke Koi Yaad Karta Hai TumheN Har Pal
Mere Chehre Pe Pehle Aisi Muskuraahat Kabhi Naa Thi

Bahut Choti Si Duniya Hai Meri,Har Ek Kirdaar Mere Aas-Paas
Aise MeN Iss Dil Ko Tere Aane Ki Koi Aahat Kabhi Naa Thi

Tere KhayaloN MeN Guum Ho Kar Ek Ghazal Kehne Ki Chaah Hai
Isse Pehle Mere Kalam MeN Itni Nazaakat Kabhi Naa Thi

Accha Hi Hua Ke Yeh Haseen Khwaab Tootha Aur Hum Hosh Mein Aaye
Mere LafzoN MeN Pehle Iss kadar, Itni Sajaawat Kabhi Naa Thi

"Khwahish" Ne Bahut Chehre Dekhe,Par Woh Chehra Dil MeN Ghar Kar Gaya
Kisi Chehre MeN Aisi Kashish, Aisi Khil-khilaahat Kabhi Naa Thi