Monday, June 6, 2011

Yon lagta hai zindage

Yon lagta hai zindage sa kuch haar baitha hon
aaj khud sa he kion aisa anjaan baitha hon..

jo rang barang sapney thay sab faramosh ker dalay
ilfaz ke sachayon ko be aitabar jan baitha hon..

raat ka talna ka ab imkan baki na rahay
to kis liya aas ka diyaa jalaye betha hon..

takdeer sath choray hai keh zindage be wafa hoty hai
kon bazi jeetay ga yeh qayas lagaye baitha hon..

shayed apni mohabbat ka maan mang lia tujh sa
khata hui mujh sa aj aitaraf kiya baitha hon..

kisi ko khuda maan ker paristish ke zaidi na
aaj us ke muhabbat ka mazar sajaye baitha hon

Piyaas woh dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahi

Piyaas woh dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahi
kaisa baadal hai jis ka koi saaya bhi nahi

bey-rukhi iss se barrah key bari aur bhala kya ho gi
ik muddat sey uss ney hamey sataya bhi nahi

rooz aata hai der-e-dil pey woh dastak daine
aaj tuk hum ney jise paas bulaya bhi nahi

sun liya kaise khuda jaane zamaney bhar ney
woh fasana jo kabhi hum ney sunaya bhi nahi

tum tau shayer ho ~Qateel~ aur woh ik aam sa shakhs
uss ney chaaha bhi tujhe aur jitaaya bhi nahi

Ansoon nahi rukte teri yaad aaney kay baad

Ansoon nahi rukte teri yaad aaney kay baad
Dekh kiya haal huwa hai mera idhar aaney kay baad
Tum tho khetey thay masroof hojaho gay tum jahne kay baad
Ab tho eik zamana hogaya mere aane kay baad
Ab bhi na jahti hai teri yaad mere aane kay baad
Kahin mein mar hi na jahoon mere aane kay baad

Mat roko in ansoonyo ko, inhe beh jane do,
Jo chod gaye saath apna un ki yaad dilane do,
hogi nahi un se mulakat zindagi mein aab,
is hakkikat ko samjane do,
diya tha saath dene ka wada magar chod gaye rah mein,
is sachi ko mano aur in ansoonyo ko, inhe beh jane do,

Sab kuch hai par shayad kuch bhi nahi,
Hazaar khushiya mili par gham raha vahin ka vahin,
Kitne hi aansoo peeye par phir bhi khushi mili nahi, Inhe hi hasi aur khushiyo ki talaash main hum khud kho gaye hai kahi...

SAB KUCH HOTEY HUWE BHI AKELA HOON
DIL KI BZAI HARNE K LIYE KHELA HOON

UN KO PASS BULA K MEIN NEY JAB PYAR K SAHBD KAHE
TU WOH RUKE BHI NAHIN AUR MUNH MOD KR CHAL DIYE

Jakham kuch aise huye..
Ki phoolan par soya na
gaya.
Dil jal kar rakh hua..
Par aankho se roya na
gaya..

IN ANKHOON MEIN AAB NAMI NAHIN RHI
TERE BAAD DUNIYA MEIN ZULAM KI KMI NHIN RHI

Akhir ku hum tumse duur huwe

Akhir ku hum tumse duur huwe
Akhir ku duur tumne jahne diya
Akhir ku hum yoon bechain huwe
Akhir ku hum aasey tarap utthe
Akhir ku raatoon ko sootey nahi
Akhir ku ab hum haste roote nahi
Akhir ku hum tumse duur huwe
Akhir ku duur tumne jahne diya
Akhir ku hum chikte chillate nahi
Akhir ku dosero ki baatoon mein aate nahi
Akhir ku apna haal kisi ko sunate nahi
Akhir ku ab teri yaado sey bahar jahte nahi
Akhir ku hum tumse duur huwe
Akhir ku duur tumne jahne diya

Aaj phir khali ghaata chayi hai,

Aaj phir khali ghaata chayi hai,
Aur teri yaad bohot aayi hai ,
Yaad nah teri mujh mein phir aag lagayi hai
Ab yeh aag bhuna paye gi,
Nah hi teri yaad is dilse jahe gi
Ab tho mil humse aaker
Warna meri zaad hi duniya se mitjahe gi

SAWAN BHI BHEEGA SAHIL K

SAWAN BHI BHEEGA SAHIL KA BAYAN KUCH AUR
BAN KAR CHAND AASMAN K MEHMAN BAN GAYE HO TUM

SAAGAR BHI BE MURAWATI KA DETHA HAI SABAQ
SHAYAD SAGAR KI MITHAS BAN GAYE HO TUM

DIL SE DUA TERE LIYE JO NIKLE MERE
AB THO MERI SANSON KI SADA BAN GAYE HO TUM

BE KHUDI KI KEFIATH SE KESE DOOR JAON
HAR TARAF RUKH-E-QAMAR KI MANIND BAN GAYE HO TUM

KIA KHABAR THI HAMAIN RAHE GA AISA DOR MERA
JIS DOR MAIN IK BEWAFA BAN JAO GAY TUM

SHAAM KI TARAN RO GAYA TANHA MAIN
MERI TARRK RAHIB KA BAYAN BAN GAYE HO TUM

KIS MEKHANE KA RUKH KIA THA MAIN NE
HAR SAAQI KE HAAT MAIN BEWAFAI KA SAGAR DE GAYE HO TUM

RAAT GUZARTHI NAHIN MERI
KIYUN DARD BHARI RAH MERE LIYE BAN GAYE HO TUM

HAR TARAF SE AB THO YEH SADA SUNAI DETHI HAI
HAIDER KE DIL KI KHAMOSHI BAN GAYE HO TUM

dard ke nashy mai dard ka ahsaas kahan hota hai

dard ke nashy mai dard ka ahsaas kahan hota hai
Ishaq ke zanoon se jayada, dard ka janoon hota hai
na koi chahat, na hi koi hasart baki rahti hai
Phir bhi ankhon mai ansoo liye, Dilbar ka intzaar hota hai!!!

dard ki baat na kar, sari duniya dard ke nagari lagati hai
jab bhi naya jakham milta hai, zindagi aor sanwary lagati hai!!!

Chandani raat ho to, barsaat buri lagti hai.
Dil me agar dard ho to, har baat buri lagti hai.
Aisi baatein hothon se, nahi kahi jaati hai.
Ye to wo baat hai jo, aankhon se bayaan hoti hai

Kuch na kisi se keh lenge hum,
Yaad teri aayi to rolenge hum,
Neend to hum ko kya aayegi zalim,
Haa maut agar aayi to zaroor solenge hum...

AANKH KO AAJ HUMNEY TERI YAAD S RULA DIYA
PHIR IS ANKH NEY AIK DRYA HAI BHA DIYA

AAB AIK GHZAL TERE NAMA KI LIKHOON GA
PHIR KAL MEIN TUJHE ALVIDA KAHOON GA

Fulo se hasna, jhulo me jhulna;
Koi dusra mile to hame na bhulna;
Dost ek afsana hai,
Bhul gaye to sapna hai aur
Yaad kiya to apnaa hai ...