Saturday, April 30, 2011

kuchh beete hue lamho se mulakat hui
kuchh tute hue sapno se baat hui
yaad jo karne baithe un tamam yaado ko
to aapki hi yaado se shuruat hui…
`
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai…
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai’
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai…
`
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi…
Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi…
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi… Tanhai hi milegi !
`
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.
`
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya hain….

Saturday, April 23, 2011

Wo Kehti Hai Suno Jana

Wo Kehti Hai Suno Jana’n Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko
Mai Kehta Hoo’n K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho
Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti

Wo Kehti Hai, Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey
K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti
Mai Kehta Hoo’n, Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai
Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nahii Aata

Wo Kehti Hai Judai Se Boht Darta Hai Dill Mera
K Tumko Khudd Se Hatt Kar Daikhna Mumkin Nahii Hai Abb
Mai Kehta Hoo’n Yahi Khadshey Boht Mujhko Satatey Hain
Magar Sach Hai Mohabbat Mai Judai Sath Chalti Hai

Wo Kehti Hai Batao Kya Merey Binn Jee Sakogay Tumm?
Meri Batain Meri Yadain, Meri Aankhain Bhula Do Gay?
Mai Kehta Hoo’n Kabhi Iss Baat Par Socha Nahii Mainey
Agar Ikk Pall Ko Bhi Sochoo’n Tau Sansain Rukne Lagti Hain

Wo Kehti Hai Tumhe Mujhse Mohabbat Iss Qadar Kyu’n Hai
K Mai Ikk Aam Si Larhki Tumhe Kyu’n Khas Lagti Hoo’n
Mai Kehta Hoon Kabhi Khudko Meri Aankho’n Se Tum Daikho
Meri Deevangii Kyu’n Hai Ye Khud Hii Jaan Jaa’ogay

Wo Kehti Hai Mujhe Waraftagee Se Daikhte Kyu’n Ho?
K Mai Khuddko Boht Hi Qeematii Mehsoos Karti Hoon
Mai Kehta Hoon Mata E Jaa’n Boht Anmol Hoti Hai
Tumhe Jab Dekhta Hoon Zindagi Mehsoos Karta Hoon

Wo Kehti Hai Mujhey Alfaaz K Jughnoo Nahi Miltey
Tumhe Batla Sakoo’n Dill Mai Merey Kitni Mohabbat Hai
Mai Kehta Hoon Mohabbat To Nigaho’n Se Chhalakti Hai
Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai

Wo Kehti Hai Batao Na Kisey Khone Se Darte Ho?
Batao Kaun Hai Wo Jisko Ye Mausam Bulate Hain?
Mai Kehta Hoon Ye Meri Shayari Hai Aaina Dill Ka
Zara Daikho Batao Kuchh Tumhe Iss Mai Nazar Aaya

Wo Kehti Hai K Aatif Jee Boht Batain Banatey Ho
Magar Such Hai K Ye Batain Boht Hii Shaad Rakhti Hain
Mai Kehta Hoon Ye Sab Batain, Fasane Ikk Bahana Hain
K Pall Kuchh Zindagani K Tumharey Sath Katt Jayain

Phir Uss K Baad Khamoshi Ka Dilkash Raqs Hota Hai
Nagahain Bolti Hain Aur Labb Khamosh Rehte Hain

Wo Kehti Hai Suno Jana’n Mohabbat Maum Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko
Mai Kehta Hoon K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho
Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti

Wo Kehti Hai, Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey
K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti
Mai Kehta Hoon, Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai
Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nah


Wo Kehti Hai Suno Jana

Wo Kehti Hai Suno Jana’n Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko
Mai Kehta Hoo’n K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho
Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti

Wo Kehti Hai, Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey
K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti
Mai Kehta Hoo’n, Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai
Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nahii Aata

Wo Kehti Hai Judai Se Boht Darta Hai Dill Mera
K Tumko Khudd Se Hatt Kar Daikhna Mumkin Nahii Hai Abb
Mai Kehta Hoo’n Yahi Khadshey Boht Mujhko Satatey Hain
Magar Sach Hai Mohabbat Mai Judai Sath Chalti Hai

Wo Kehti Hai Batao Kya Merey Binn Jee Sakogay Tumm?
Meri Batain Meri Yadain, Meri Aankhain Bhula Do Gay?
Mai Kehta Hoo’n Kabhi Iss Baat Par Socha Nahii Mainey
Agar Ikk Pall Ko Bhi Sochoo’n Tau Sansain Rukne Lagti Hain

Wo Kehti Hai Tumhe Mujhse Mohabbat Iss Qadar Kyu’n Hai
K Mai Ikk Aam Si Larhki Tumhe Kyu’n Khas Lagti Hoo’n
Mai Kehta Hoon Kabhi Khudko Meri Aankho’n Se Tum Daikho
Meri Deevangii Kyu’n Hai Ye Khud Hii Jaan Jaa’ogay

Wo Kehti Hai Mujhe Waraftagee Se Daikhte Kyu’n Ho?
K Mai Khuddko Boht Hi Qeematii Mehsoos Karti Hoon
Mai Kehta Hoon Mata E Jaa’n Boht Anmol Hoti Hai
Tumhe Jab Dekhta Hoon Zindagi Mehsoos Karta Hoon

Wo Kehti Hai Mujhey Alfaaz K Jughnoo Nahi Miltey
Tumhe Batla Sakoo’n Dill Mai Merey Kitni Mohabbat Hai
Mai Kehta Hoon Mohabbat To Nigaho’n Se Chhalakti Hai
Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai

Wo Kehti Hai Batao Na Kisey Khone Se Darte Ho?
Batao Kaun Hai Wo Jisko Ye Mausam Bulate Hain?
Mai Kehta Hoon Ye Meri Shayari Hai Aaina Dill Ka
Zara Daikho Batao Kuchh Tumhe Iss Mai Nazar Aaya

Wo Kehti Hai K Aatif Jee Boht Batain Banatey Ho
Magar Such Hai K Ye Batain Boht Hii Shaad Rakhti Hain
Mai Kehta Hoon Ye Sab Batain, Fasane Ikk Bahana Hain
K Pall Kuchh Zindagani K Tumharey Sath Katt Jayain

Phir Uss K Baad Khamoshi Ka Dilkash Raqs Hota Hai
Nagahain Bolti Hain Aur Labb Khamosh Rehte Hain

Wo Kehti Hai Suno Jana’n Mohabbat Maum Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko
Mai Kehta Hoon K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho
Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti

Wo Kehti Hai, Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey
K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti
Mai Kehta Hoon, Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai
Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nah


Koi Baat Nahi

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi

Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi

Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se

Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi

Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko

Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha

Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi

Kiski Majaal Ki Koi Mujh Ko Deewana Kahe

Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi.


bewafa sanam shayari

Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerte
Bewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerte

UnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerte

Gali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerte

Unhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un se
suna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerte

Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain
raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte.

Bewafa Dost Shayari

Chirag Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya,
Har Ek Kaam Hum Ne Uperwale Pe Chor Diya,

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta,
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Marzi Pe Chor Diya,

Us Se Baat Bhi Karte To Kis Tarhan Karte,
Yeh Sawal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya,

Iss Liye To Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko,
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya,

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe,
Chirag Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya,

bewafa shayari6

Dil Mein Jo Aaya Woh Likh Diya
Kabhi Milan Kabhi Judai Likh Diya

Pehli Baar Mile The Yahan Hum
Un Raahon Ka Naam Manzil Likh Diya

Kiya Tune Tar Tar Mera Daman
Ja Maine Bhi Tujhe Bewafa Likh Diya

Ishq Ka Janoon Thaa Ya Deewanapan
Jo Apni Saanso Ko Tere Naam Likh Diya

Teri Judai Hai Ab Mukaddar Mera
Is Zindagi Ka Naam Intzaar Likh Diya

Dard-E-Mohabbat Ke Siva Shayari Hai Kya
Ja Tera Naam Hamne Gazal Likh Diya

Dafan Ho Gayi Har Aarzoo Seene Mein
’someone’ Ne Jabse Tujhe Sanam Likh Diya

bewafa shayari 5

—————————————-
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.
—————————————-
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya….
————————————————-
Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein muskurane ki !
————————————————
Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye to gam aur badh gaya.
—————————————————

Bewafa shayeri

Ansoun ki tarha nazaron se giraya us ne,
Apni khabar na mili kuch aisay khak me milaya us ne..

Ilzam mujhe pe lagaya magar bewafa khud tha,
Pehle dewana Banaya phir mujhe thukraya us ne..

Us ko maza ata hai mujh ko sataney me,
Mujhe geeli lakri ki tarha jalaya us ne..

Aya na tha us ko wada wafa karna,
Logon ko jhoti wafa ka qisa suanaya us ne..

Tanhaion k dard se khoob waqif tha wo,
Phir b duniya me mujhe tanha Banaya us ne….

Bewafa shyari

Kal jo apne the
Woh begane nazar ate hain
Dil badalte hain
To chere bhi badal jate hain

Tum bhi wohi ho
Yeh dil bhi wohi hay
Chera sajaya to kiyaa
Daman churaya to kiya

Cheray the tum ne
Tarane jo dil k
Gaati hay ab bhi fazaa
Deti hay tum ko sada

Zehar bhara jaam hay yeh
Moun se na lagana
Duniya hay bewafa
Yeh duniya hay bewafa

Pyaar bhi dhokha
Mohabbat bhi dhokha
Dhokha hay chahat yahan
Sajti hay surat yahan

Apne bhi joothe
Yeh sapne bhi joothe
Joothi hay rahat yahan
Joothi haqeqat yahan

Khuwaab sabhi tuut gaye
Arye aansu kiya bahana

Bewafa sayari

Kisi ko kisi ke isharon ne loota,
Kisi ko kashti ke kinaro ne loota.
Aap to darte ho kasam khane se,
Hame to aapki kasam dekar hazaro ne loota.
———— ——— ——— ——— ———
Zakham gahre the izhaar kya karte,
Khud hi nishana ban gaye war kya karte.
Mar gaye magar khuli rahi aankhen,
Isse jyada kisi ka intzaar kya karte.
———— ——— ——— ——— ———
Wafa ke naam se woh anjaan the,
Kisi ki bewafai se shayad preshan the.
Humne wafa deni chahi to pata chala,
Hum khud bewafa ke naam se badnaam the.

Bewafa shayaries 4

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hosala de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere sehar se nikalna chaha
Yaadoon ke beej bone lagti hai Tanhai

Raat ke kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai.

bewafa shayri3

tere bin main yun kese jiya…..kese jiya tere bin……

lekr yaadien teri….raatien meri kati……

mujh se baatien teri……kerti hian chandni…..

tanha hai tujh bin raatein meri….

din mere din k jese nahi…

tanha badan tanha hai man num meri ankhen rahen………

aja mere ab ro barao…..jeena nahi bin tere……

kab se ankhen meri…..

rahin mein teri beechi….

bhole se hi kabi tu mil jaye kahin…..

bhole na mujh se baatien teri….

bheegin hia har pal ankhen meri…

kyon saans loon….

kyon main jiyon…..jina bura sa lage….

kyon ho gaya tu bewafa….mujh ko bata de wajah………

tere bin main yun kese jiya…..kese jiya tere bin……


Deven Panthi

Bewafa shayari2

*************************************************************************

Main ab khayalo mein teri tasweer banau magar kaise,
Tu hi bata haal-e- Dil tujhe sunau magar kaise,

*************************************************************************

Jo mahel banaye the khuwabon mein humne,
In mahlo mein Wafa ke deep jalau magar kaise,

*************************************************************************

Mohabbat Wafa Chahat sab toot chuke hai,
Ab main khud ko kisi khilone se behlau magar kaise,

*************************************************************************

Kitne chiraag jalaye tere intezaar ki aas mein,
Is Dil pe main aur sitam dhau magar kaise,

*************************************************************************

Apne aas paas jo tanhaiyo ke mele dekhe to khayaal aaya,
Tumhari tarha main bhi bewafa banjau magar kaise.
********************************************************

Bewafa hai

dilke dard ko dil todne wala
kya jane
dil ke jakhm ko bewafa log
kya jane
hoti he kabr me kitni taklib
are wo upar se ful cadane wala
kya jane

D.Panthi

Bewafa shayaris

*Usne kaha*

*tum mei pehli si baat nahi*

*maine kaha*

*zindagi mei tera sath nahi*

*usne kaha*

*ab bhi kisi ki ankhon main doob jate ho?*

*maine kaha*

*ab kisi ki ankh main woh gehraii nahi*

*us ne kaha*

*kyun itna toot kar cahaha mujhe*

*maine kaha*

*insaan hoon patthar tou nahi*

*us ne kaha*

*kia main bewafa hoon?*

*maine kaha*

*mujhe ab wafa ki talaash hi nahi

us ne kaha*

*bhool jaoge mujh ko?

maine kaha*

*tum haqiqat ho, koi khwaab nahi*

Bewafa sher

Sochta Hoon Iin Sagar ki Leharon ko dekh kar..
Kyun yeh kinaron se takrakar laut jaati hain…
Karti hain yeh kinaron se Bewafaai…
Ya phir Sagar se Wafa Nibhati hain….
““““““““““““““““““““““““““““““““`
“““““““““““““““““““““““““““““““““
Aaj Hum Unhe Bewafa Batakar aaye hai,
Unke Khaton ko paani mein Bahakar aaye hai,
Koi nikaal ke padh Na le unhe,
Isliye paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….
“““““““““““““““““““““““““““““““““`
““““““““““““““““““““““““““““““““`
Dil Toh Jalkar Raakh Ho gayaa
Magar In Aankhon Se Roya naa Gayaa
Kuch Gam Judaai ke Aise Mile,
Ke Pholoon ke Bistar pe bhi Soya naa Gayaa.
““““““““““““““““““““““““““““““““““
“““““““““““““““““““““““““““““““““““
Har dil ka ek raaz hota hai
har baat ka ek andaaz hota hai
jab tak na lage bewafai ki thokar
har kisiko apni pasand par naaz hota hai.

bewafa poems

Toota howa shesha phir jora nahi jata
Aankh say nikla howa ansoo phir wapis nahi ata.

Tum tu keh ker bhool chukay ho sab kuch
Lekin mujhsay wo pal bhoolaya nahi jata.

Teri mohobbat ne zanjeerey dali hain esi
Ke churana bhi chahoon to choraya nahi jata.

Mehfil main bhi mujh ko tanhai nazar ate hai
Teray bin ye dil kahi or lagaya nahi jata.

Mere dil ki deewaroo par sirf tera he nam likha hai
Mitana bhi chahoon to mitaya nahi jata.

Saans ruknay say pehlay aik jhalak dikha jana
bewafa zindagi ka aitbar kiya nahi jata

Bewafa

Mohabbat ki raahon mein hum sath hote
Soo dard milte phir bhi na roote
Kaash aap hamare hote

Keh na paaye hum dil ki baat ko
Sun na paaye tum dil ki baat ko
Har pal hum ko tarpayegeen yeh khamoshiyan
Yeh bhi sach hai tum bewafa nahi
Yeh bhi sach hai hum bewafa nahi
Yeh bhi sach hai chahat na milli hai yeh dooriyan
Iss dil ke aise tukre na hote
Kaash aap hamare hote

Toota meri chahat ka silsala
Shayad yeh tha kismat ka faisla
Hum shikwe or shikayat bolo kis se karein
Yeh na pocho kiya mere pass hai
Tanhai hai or Teri Yaad Hai
Toote dil se aahein bhi bharein to kab tak bharein
Hum apni halat pe aise na roote
Kaash aap hamare hote…

Bewafa Pyar

Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi
Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi

Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai
Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi

Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar
Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi

Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi

Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna
Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi

Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi

Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke
Dunya To Hai Eik Sarab Is Ke Siwa Kuch Nahi

Bewafa dil

Meri Har Saans Par Zakhm Hai Uski Yaado Ka,

Gar Hum Likhte Taqdeer To Apne Liye Har Saza Likhte.

Unke Apno K Kehne Par Begana Bana Diya Hume,

Naadaan Hai Wo,kaun Apna Hai Ye Nahi Samajhte.

Mile Wo To Karu Shikwa Usse Uski Bewafai Ka,

Rehte Hai Ghar Me Wo Hume Sar-e-raah Nahi Milte.

Jaane Kis Soch Me,kis Khayal Me Gumm Hai Aks,

Sochta Hu Kehdu Usse Lekin Lafz Nahi Milte.

Mein bewafa

Aaj bhi teri yaad me ashq barste hai,
Teri didar ko pal pal tarste hai,
Na jane kyu aaj bhiruk jate hai kadam chalte chalte,
Jab bhi hum teri rahon se gujrte hai.
Tum kya jano kya hoti hai tanhai,
Tute hue patte se pucho kya hoti hai judai,
Uhi bewafai ka iljam na de dost,
Ise waqt se pucho ki kis waqt aap ki yaad na aai.

Bewafa song

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,

MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,

Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,

Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai

>>Bewafa song

Bewafa Dard Shayari Deven

Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%



Raha jo dil mein dhadkan ban ke
bichda mujhse vo bewafa ban ke
na ummid rahi jeene ki ab ae dosto
milli hamein dava bhi ek sazaa ban ke


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%


Ab toh gham sehne ki aadat si hogayi hai
raat ko chhup chhup rone ki aadat si hogayi hai
tu Bewafa hai….khel mere dil se ji bhar ke
hamein toh ab chot khaane ki aadat si hogayi hai


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%


Jane kis baat ki mujhko saja deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%


kaash aasoun ke saath yaadein beh jati
kaash ye khamosi sab kuch keh jat
kaash kismat tumne likhi hoti to
shayad meri kismat me pyar ki kami na rah jati


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%


Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye.


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%


Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%


Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte,
dil me rehne walo ki baat nahi karte.
Humari to rooh me bas gaye a Woh,
tabhi to hum milne ki fariyad nahi karte.


~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%


Tum bin zindagi suni si lagti hai,
Har pal adhuri si lagti hai…
Ab to in saanson ko apni saanson se jodde,
Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai…

~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%~!@#$%

Deven Panthi

Friday, April 22, 2011

aks-e-junoon

.........चिरागों को रौशनी.....सितारों को पैगाम मिल गए........
...............कलियों ने सर उठाया ...भवरों को नाम मिल गए...
.....घर से निकले थे .....कहने तुझे दिल की बात .......
......... कम्बक्त दर पर तेरे आशिक तमाम मिल गए .......

Kaik Alag Tamari Ae Rit Mane Game Che

Gujarati Poems

Kaik Alag Tamari Ae Rit Mane Game Che
Tame Karo Cho Ae Tarkib Mane Game Che
Mitro To Che Ketlay Pan
Tame Nibhavo Cho Ae Dosti Ni Rit Mane Game Che..
`
Manvi Na Mansuba No Taag Kadi Jadto Nathi..
Kevi Karamat Kudrat Ni..
Ek Sarkha Manvi Kadi Ghadto Nathi..
Tara Vina Nahi Jivi Saku.. Aevu Kehnar..
Kadi Saathe Marto Nathi..
`
Kalam Hath Ma Lidhi Tya Ek Aansu Aavyu Aagal…
Zalzaliya Ni Zaankhap Vachche Lakhie Kya Thi Kaagal..
`
Prem Aapvo Ae Faraj Che..
Prem Pamvo Ae Kala Che..
Tame Jene Prem Karo Cho Teni Saathe Hovu Ae Naseeb Che..
Pan Tamne Je Prem Kare Che Teni Saathe Hovu Ae Zindagi Che.
`
Mane Loko Kahe Chhe,Ke Maari Shu Dasha Chhe
Hu Kahau Chhu,Ke Prem Ma Padavaani Aa Saza Chhe
Vikharayela Vaal…Aankho Hase Chhe Ke Rade Che
Kasoor Be-Wafai No Nathi,Mohabbat Ni Aa Mazaa Chhe…

jiS DIN MERI

Hindi Poetry, Hindi Shayari, Love Hindi Poetry, Romantic Hindi Poetry ...

Bheegee Barsaat | Nature Poems

jab saawanrimjhim barstaa hai,
tab mera rom rom khil uthtaa hai.
saamne hote ho jab tum mere,
mera man tumhaare deedaar ke liye tarstaa hai.
aankhon aankhon mein hoti hain baatein,
dil ikraar karne se dhadktaa hai.
pyaar se sirf dil hee nahee,
pooraa yaovan kaa shringaar mahktaa hai.
sochtee hoon kahoon tumse kyaa,
par aa jaatee hai aankhon mein hayaa.
kaheen kho naa doon main tumhe,
isliye inkaar karne se bhee dar lagtaa hai.
jaise machhlee tadptee hai jal binaa,
waise hee dil mera tumhaare binaa tadptaa hai.
hai yahee khwahish ki poore hon phere tumhaare saath,
kaaboo nahee hain mere dil ke jasbaat.
tumse milne ke baad meree jindagee mein aa gayee hai khushiyon kee bahaar,
kyonki chhaa gayee hai mere dil mein chaahat kee jhankaar.
is bheegee barsaat kee raat mein,
aao ek duje mein ham kho jaayen.
jud jaayen ek duje se ham rooh se rooh tak,
taaki phir kabhee bhee judaa na ho paayen.

Honth | Romantic Poem

Kamal kee pankhudee kee tarah lal hain honth tumhare,
unme pyaar ka amrit bhee bharaa hai.
Lajwantee kee tarah tumhare ye sharmaate honth,
lagte koee apsaraa hain.
Kaise karoon tumhare in hontho kaa bakhaan,
jinhe dekhte hee nahee rahtaa hai bhaan.
Jab tumhare honth khulte hain to,
lagtaa hai ye mujhse kuchh kahnaa chahte hain.
Jab tumhare ye honth band hote hain to,
lagtaa hai mujhse ye sakuchaate hain.
Tumhare honthon mein samaaee hai pyaar kee lalee,
jise dekhkar khil jatee hai dil kee har kalee.
In hothon kee muskaan ke liye,
tadpate hain hajaaron aashik.
Is pyaar kee baarish ke liye,
ho jaata hai mera dil bhaavuk.
In hothon kaa jaam paane ke liye,
Mera dil tarastaa rahtaa hai.
In hothon ko pyaar se choomne ke liye,
har ghadee mera dil sisktaa hai.
In hothon mein chhipee huee hai,
ek ajeeb see najaakat.
Inhe ek baar choomte hee,
chhaa jatee hai dil par kayaamat.

Hindi Shayari

Jindagee ho gayee thi rangeen,

Jab wo shaam aayee thi haseen.

Na jaane dil kaise toot gayaa,

Dil ki khushiyaan ho gayi gamgeen.

Roj ham unse apne dil ki baat kahane jaate hain.

Ye sochkar ham man hi man ghabaraate hain.

Dil ki baat jubaan par laane ki himmat nahi hai,

Is bebasee se aankhon mein aansoon chhalak jaate hain.

Aise na hame tadpaaiye apni adaaon se ki,

ham tadap tadapkar mar jaayein.

Bas jaaiye hamaari jindagi mein is tarah ki,

ham jism se rooh tak nikhar jaayein.

Kyaa tumhe pataa hai ai gulshan,

mere dilbar aanewaale hain.

Kaliyaan naa bichhanaa raahon mein,

ham dil ko bichhane waale hain.

Ye pahali baar kaa milnaa bhi itnaa paagal kar deta hai,

kuchh kuchh hotaa hai saanso mein aur dil kyon khota hai.

Baahon mein bharkar wo hamko madhosh banaane waale hain.

Kaliyaan naa bichhana rahon mein,

ham dil ko bichhane waale hain.

Prem Kaa Sparsh | Romantic Love Poem

Janmon janmon se murjhaaye is dil ko jab ehsaas huaa prem ke sparsh kaa.

Tab yugon yugon se pyaasee is dharaa ko milaa saath gagan kaa.

Haqiqat hai ye, nahi koi khilkhilata khwab kal kaa.

Khooshboo thi kaliyon ki aur pyaar thaa saawan kaa.

Chehre par nikharee aabhaa ban baithee darpan mere laawany kaa.

Aankhon mein chhipee hayaa ban baithee kaajal mere yaovan kaa.

Khanaktee choodiyaan ban baithee dushman mere yaovan ka.

Pyaar ki choonar mujhse aakar lipat gayee aur dhalak gayaa daaman aanchal ka.

Hothon par sajee laalee ban baithee muskaan mere piyaa ki.

Pairon ki paayal ban baithee piyaa ke dil ki dhadkan.

Haathon ki mehandee ban gayi dulaar mere saajan kaa.

Maathe par sajee bindiyaa ne to piyaa ke hosh hi udaa diye.

Kaan ke jhoomke mein piyaa kaa dil hi atak gayaa.

Baalon mein lage gajare ne to piyaa ko madhosh hi kar diya.

Kaisee thee wo pahalee mulaakaat,

jisme man thaa pyaar se rangaa.

Paate hi prem kaa sparsh ,main dil ban gayee saajan kaa,

main dil ban gayee saajan kaa, main dil ban gayee saajan kaa.

Teej-Pyaar Kaa Anokhaa Roop | Romantic Poem

Teej kaa vrat hai bahut hi madhur pyaar kaa.

Dil ki Shraddha aur sachhe vishwaas kaa.

Bichhiyaa pairon mein ho, Maathe par bindiyaa.

Har janam mein Milan ho hamaraa piyaa.

Devi maan kaa poojan karoon main baar baar.

Taki mujhko mile sadaa suhaagan rahne kaa aashirwad.

Pairon mein paayal, haathon mein ho laal choodiyaan.

Har janam mein Milan ho hamaraa piyaa.

डोंट एवर फाल इन लव – Romantic Poem

Did you ever fall in love and know they didn’t care?
Did you ever feel like crying but know you would get no where?
Did you ever look into their eyes and say a little prayer?
Did you ever look into their hands and wish your hands were there?
Did you ever wonder where they are and wonder if they are true?
One minute you’ll find happiness and the next you’ll find your blue?
The days go by so fast the months turn into years
For love that was so strong has now turned into tears.
With their heart of happiness you’ll wonder day and night.
Remember that they are going to leave no matter how hard you fight.
Don’t ever fall in love my friend the price you’ll pay is high.
If i could choose between life and death i would rather choose to die.
And so my friend don’t fall in love you’ll be hurt before it’s through
You see my friend I ought to know..because I fell in love with you.

रोमांटिक Shayrees

Aapkee muskaan kabhee aapse naa chhoote.
Aapkaa har dard minton mein toote.
Mehrbaan ho khudaa itnaa aap per ki,
aasmaan se taare bhee aapkee marjee se tootein.
Samaa jaao mujhme is tarah,
jaise kaajal aankhon mein samaataa hai.
Sajaa do dil ko khwabon se is tarah,
jaise ambar phoolon ko barsaataa hai.
Bas jaao dil mein is tarah,
jaise yaadein dil mein bastee hain.
Jhalak jaao aankhon mein is tarah,
jaise taaron kee roshnee jhalaktee hai.
Nichhawar hai tum par mera tan man.
Maan chukee hoon main tumhe apnaa sajan.
Milne ke liye tumse mera man,
kya kya nahee kartaa jatan.
Jab tum aate ho mere kareeb,
to aankhon mein hayaa kee laalee chhaa jatee hai.
Honth ban jate hain pyaar ka pyalaa,
aur bindiyaa meree chamak jaatee hai.


Dhaltee shaam kaa khula ehsaas hai.
Mere dil mein uskee jagah kuchh khaas hai.
Wo nahee yahaan,maaloom hai mujhe,
par dil kahtaa hai wo yaheen mere paas hai.

होंठ(रोमांटिक Poem)

Kamal kee pankhudee kee tarah lal hain honth tumhare,
unme pyaar ka amrit bhee bharaa hai.
Lajwantee kee tarah tumhare ye sharmaate honth,
lagte koee apsaraa hain.
Kaise karoon tumhare in hontho kaa bakhaan,
jinhe dekhte hee nahee rahtaa hai bhaan.
Jab tumhare honth khulte hain to,
lagtaa hai ye mujhse kuchh kahnaa chahte hain.
Jab tumhare ye honth band hote hain to,
lagtaa hai mujhse ye sakuchaate hain.
Tumhare honthon mein samaaee hai pyaar kee lalee,
jise dekhkar khil jatee hai dil kee har kalee.
In hothon kee muskaan ke liye,
tadpate hain hajaaron aashik.
Is pyaar kee baarish ke liye,
ho jaata hai mera dil bhaavuk.
In hothon kaa jaam paane ke liye,
Mera dil tarastaa rahtaa hai.
In hothon ko pyaar se choomne ke liye,
har ghadee mera dil sisktaa hai.
In hothon mein chhipee huee hai,
ek ajeeb see najaakat.
Inhe ek baar choomte hee,
chhaa jatee hai dil par kayaamat.

Virah Vyathaa

Sun sun chandaa dukh mere man ke.

Jaa tu meraa prem patraa padh ke.

Preetam se kahiyo dukh mere man ke,

Pardesee piyaa ki yaad sataawe ho.

Atript Pyaas

Hai mere dil mein bas yahi aas ki,

kabhi to tripat hogi mere dil ki pyaas.

Kab wo din aayegaa jab main,

uske dil aur dimaag par chhaa jaaungee.

Kab wo haseen pal aayega,

jab main uski baahon mein simat jaaungee.

Bas jaaungee uske rom rom mein is tarah,

ki wo mere kareeb rahne ki dhoondhe wajah.

Jaane kab milegaa mujhe mere sapno kaa raajkumar.

jiske liye har pal main kiye baithee hongee solah shringaar

Uske bina bannaa sawarnaa lagtaa hai mujhe neeras.

Nahi achha lagtaa mujhe kuchh bhi uske binaa.

Har pal wo mere saamne rahe,

isee abhilashaa mein chhalak jaate hain mere nainaa.

Usse milkar aisaa lagtaa hai ki,

jindagee mein gamon ki kamee hai.

Sambhaale sambhal nahi rahi hain mujhse khushiyaan,

aur aankhon mein bahaaron ki namee hai.

Wo hameshaa meri aankhon ki chamak banaa rahe,

Muskuraayein mere adhar uske saath se.

Wo mere chehre ki aabhaa ko barkaraar rakhe,

Aur nikhar jaaye meraa yauvan uske sparshmatr se.

Wo mere naino kaa kaajal bankar lahke.

Wo mere balon kaa gajraa banke mahke.

Wo meri choodiyaan banke khanake.

Wo meri paayal banke chhanke.

Ab uskaa intjaar karte karte,

ho rahi hain meri saansein khatam.

Chaah bas hai yahi ki wo,

piyaa ke roop mein mujhe mile janam janam.

Muskuraahat

Hothon pe muskaan khil jati hai meri,

Uski ek sharaarat se.

Aankhein chamak jati hain meri,

Uski ek aahat se.

Uski ek jhalak pate hi,

Mera ang ang sajeev ho jaata hai.

Mera udaas man bhi,

Uske sparshmatr se praffukit ho jata hai.

Pataa nahi usme kyaa,

Visheshtaa chhipee hai.

wo mere is andhkaarmay jeevan mein prajalit huee,

ek jagmagaatee roshnee hai.

Uski aankhein hameshaa bolti hain,

Uski baatein mujhe toltee hain.

Uski mand mand muskuraahat,

Uske dil me chhipe raaj kholtee hain.

Khush hai wo mere hothon ki muskurahat se.

Main bhi uski ek muskurahat ke liye taras jati hoon.

Ishwar kare ki hamara ye rishta itna majboot ho jaaye ki,

Ham dono har khushee ka swaagat muskuraahat ke saath karein.

Piyaa Kaa Intejaar

Jab yauvan ladki ko chaaron taraf se gher letaa hai tab,
Ajeeb see bechainee uske dil mein bhar jaatee hai.
Uski aankhein besabree se kisee kaa intejaar kartee hain,
Uske chehre ki hayaa bhi uske hriday ki vyathaa nahi chhupaa pati hai.
Use kisee shingaar ki jaroorat nahi hoti,
Piyaa ko dekhte hi ajab see laalee uske mukhmandal par chhaa jati hai.
Dil se wo milan ka intejaar karti hai,
Lekin virah ke baare mein sochkar hi wo vyathit ho jati hai.

Hindi Shayrees

Hey ishwar, aap to hain karunanidhan.
Jo jag mein rakhte hain sabkaa dhyaan.
Mere is hriday mein aap sadaa waas kijiye,
Banke mere shareer ke praan.

Aap meri jindagi mein khushiyon ki bahaar lekar aaye hain.
Jiske bina jhulas rahi thi meri rooh wo fuhaar lekar aaye hain.
Naseeb hota hai jo kisee kisee khushnaseeb ko,
Meri jindagee mein wo mahktaa aseem pyaar lekar aaye hain.

Lataaon ki ot se prakat huye aise Raam.
Prakate ho chandra jaise meghon ko hataake.
Naino ki dagar Siyaa rakhe Ram,
Kare Prarhnaa palak giraake.
Lakshminarayan awaak aise dekh rahe,
Mile the kahaan ab mile kahaan aake.

Jaise nadee parvat se nikaltee hai aur parvat mein hi samaa jati hai.
Jaise muskuraahat hothon se nikaltee hai aur dil mein samaa jati hai.
Usi tarah aapka pyaar mere rom-rom mein samaayaa huaa hai.
Mujhe rah rahkar aapki bahut yaad aati hai.

Sangeet wah swar hai jo hriday se nikaltaa hai.
Pyaar se chhoone par to patthar bhi pighaltaa hai.
Ai khudaa mujhse kisi ka dil na toote,
Kyonki toote dil ka jakham sirf pyaar ke marham se bhartaa hai.

Roj ham unse apne pyaar ka ikraar karne jaate hain.
Lekin unki maasoomiyat ko dekhkar ham laut aate hain.
Unse beintahaan pyaar karte hain ham,
Dil ki yahi baat ham unse chhipaate hain.

Dosti ki shuruaat hoti hai par ant nahi hota.
Jiske dil mein pyaar na ho wo insaan nahi hota.
Agar is jahaan mein sabko sachchaa pyar naseeb hota,
To kiseeka dil kisike pyaar se bejaar nahi hotaa.

Jaise bhanvaraa keval kalee kaa raspaan kartaa hai.
Jaise ambar keval dhartee ka aalingan kartaa hai.
Waise hi ai mere jaan se pyaare hamsafar,
Mera dil aapse beintahaan pyar kartaa hai.
Jab chhanmatr ke liye bhi aap meri aankhon se ojhal ho jaate ho to
Mera man aapki ek jhalak paane ke liye tarastaa hai.
Aapke sparshmatr se hi mere man mein ho jati hai ajab si halchal,
Tab aapke pyar mein pagal mera ye dil mujhse lakh sambhale nahi sambhaltaa hai.

Salone Piyaa

Mere piyaa sanwale salone hain,
We bal buddhi aur guno ki khaan.
Aur mere is shareer ke kaleje hain.
Salone piyaa mere dil ke raja hain.
Priy kyon na hon?
Kyonki Shriram,Shrikrishna bhi to sanwale the.
Piya ko dekhkar main kho ati hoon is kadar,
Ki unke manmohak roop se hattee hi nahi meri najar.
Suhagrat ko jab unse meri bhent huee to,
Main unhe dekhte hi anandvibhor huee.
Unkee meethee meethee baton se mujhe maadak ehsaas hone lagaa,
Aur main unke sparsh se hi madhosh ho gayee.
Kaise kahoon ki wo pal bhi jaise thahar gaya tha,
Us raat pyar ka rang bhi gahraa tha.
Us raat main tan man se unke prati samarpit thi,
Kyonki main hoon unki ardhaanginee.
Saat janmon ka unka mujhse rishta hai,
Isliye main hoon unki jeevansanginee.
Main ishwar se hamesha prarthna karti hoon ki,
We hamesha jindagee ke har mod par kamyab hon.
Wo hamesha khush rahein aur safltaa unke kadam choome.
Kyonki unki haar mein meri haar,
Unki jeet mein meri jeet hai.
Main unhe apni aakhon ke saamne,
Jindagee bhar sahi salaamat chaahtee hoon.
Bhale hi uske liye,
Mujhe apni jindagee kurbaan karni pade.
Maine ki hain kaee galtiyaan,
Jise unhone hanskar ansunaa kiya hai.
Mujhe apnaa jeevansathi mankar mere,
Berang jeevan ko rangeen banaa diya hai.
Ishwar se main yahi prarthnaa karti hoon ki,
Hamaaraa paawan rishta janmon janmon tak amar rahe.
Prasann ho vidhata mujhpar itnaa ki,
Meri maang ka sindoor hameshaa ujaagar rahe.

Suhagrat

Suhagrat ki madhur belaa,meri dhadkan mein bas gayee hai.

Us raat mujh per chhaayaa tha, ek ajab saa nashaa.

Kyonki us rat unka jalwaa,ban gayaa tha kahkashaa.

Suhagrat ke baad piya se, meri preet badh gayee hai.

Jeevan bhar us rat ki khooshboo, mere tan badan mein chhaaee rahegi.

Kyonki us rat ki haseen yaadein,mere jeevan ki parchhaee rahengee.

Us rat piya ke roop mein mujhe,ek sachha dost mila.

Jisse khulkar kar sakoon main, har ek shikwaa gilaa.

Salone piya ka pyaar paakar,main sanwar gayee hoon.

Sirf unke jism mein hi nahi,unki rooh mein bhi utar gayee hoon.

Maiyaa Ji Ke Aanchal Mein

Kehraa se aaven ho Sheetlaa maiyaa,

Kehraa se kaali maiyaa ho.

Are ho kehraa se aave durga maiyaa

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Poorba se aaveni sheetla maiyaa

pachhuan se kaali maiyaa ho.

Are ho uttaraa se aaven durga maiyaa

ta sher par savaariyaa lihale ho.

kavani pujaniyaa sheetlaa maiyaa,

kavani kaali maiyaa ho.

Are ho kavani pujani durga maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Piyari karahiya sheetla maiyaa,

gheeauva kaali maiyaa ho.

Are ho nariyar chunariyaa durgaa maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Kahanva je baithe sheetla maiyaa,

Kahanva ae kaali maiyaa ho.

are kahanva je baithe durga maiyaa

ta sher par savaariyaa lihale ho.

nimiya ke chhahiyan sheetla maiyaa,

Angane kaali maiyaa ho.

Are ho mandire mein baithen durga maiyaa,

ta sher par savaariya lihale ho.

Kavane maase jhoomeli sheetla maiyaa,

kavane ho kaali maiyaa ho.

Are ho kavane maase jhoome durgaa maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

Chaite maase jhoomeli sheetla maiyaa,

barah maase kaali maiyaa ho.

are ho kwaare maase jhoome durga maiyaa,

ta sher par savaariyaa lihale ho.

TOOT GAYA HAI MERA SUNDAR SAPNA…

Sunau kise main Haale-e-Dil apna,
Toot gaya hai mera sundar sapna.

Kuch kehte hai ki hu main beraagi,
Kuch ye bhi kehte hai ki toot chuka hai mera dil.
Haan toota hai mera dil baar-baar,
Aur andheri raaton me roya hu jaar-jaar.

Apni tanhaiyon me khud akela he roya hu,
Na aaye koi sapna isliye khuli aankho se soya hu.
Ye hawayein bhi na sukha paayi thi palkein meri,
Jab tha main tanha akela yaad mein teri.

Teri yaadon ne he toh kiya tha mujhe is kadar bekarar,
Varna zindgi ki khusiyon se tha mera bhi ek karar.
Khushiyan toh rooth chuki thi, par ab toh gam bhi dagaa de jaate hai,
Kehte hai kaise aaye hum, Vo toh ab bhi tumhare khwabon me aate hai.

Kaise kahu gam se, ki khawab toh aane se pehle he toot jaate hai,
Ab toh ye aalam hai ki, Vo humein dekhte he rooth jaate hai.
Vo na ho jaaye door is darr se hum apni palkein jhukaate hai,
Ehsaan hai tera E khuda, Vo ek nazar toh milate hai.

Vo din yaad hai mujhe jab ye nazrein kayi baar milti thi,
Aur khushiyo ki kayi kaliya mere dil mein bhi khilti thi.
Dil ki unhi kaliyon me se Ek ne kiya tha mujhe itna bekarar,
Aur pata he nahi chala ki kab ho gaya unse pyar.

Ush pyar ko karna chahta tha main is seene me dafan,
Taaki na jaan paaye koi isey, bina khoole mera kafan.
Par is zaalim duniya mein kaha koi baat chhupti hai,
Doosron ki khusiya toh yahan har kisi ko chhubhti hai.

Par kyun koosu main dusron ko, Main khud he toh na de paaya apne dil pe lagaam,
Aur aa gaya mere aashiyaane me dukhon ka paigaam.
Meri he vajah se ruth gaya hai mera koi apna,
E khuda, aakhir toot gaya hai mera Sundar Sapna…

Shayris In my First Attempt…

Kaash ki ye duniya itni bedard na hoti,
Khwabon me unse mulakaat na hoti.
Kat jaati zindgi unki yaadon ke sahare,
Agar unse milne ki aash na hoti…

.

Dekh chuke hum ish duniya ki khushiyo ko,
Matlab kya un khushiyon ka jab apne saath na ho.
Insey toh aache aansu hai,
Jo gam me toh saath nibhate hai…

.

Na koi sikva hai, na koi sikayat Rab se,
Jo na maanga vo sab mila Rab se.
Tujse koi ummid he nahi ki thi mainey,
Toh tere liye kya saza maangu Rab se..
.

.

Humsafar hota koi toh baant leta main apne duriya,
Rah chalte log kya samjhenge meri majburiya…

.

Tere dil ne kabhi na aawaj di mujhe,
koi sikva nahi, ush dil ki bhi thi majburiya.
Par ish diwane dil ka kya,
Jisne kabhi maani na thi Duriya…

.

Pyar ka matlab vo kya jaane,
Jinhe mazaa aata hai dil thodne mein.
Gam banenge dost aur aansu bhi chhor denge saath,
Jab na bachega thamne wala koi haath…

.

Mere dil ne aisa kya kiya tha Gunaah,
Jo na mili ishey tere dil mein panaah.
maana ki thode toh dil he jaate hai,
Par kya itni si khata ki itni baadi sazaa paate hai…

.

Shaam thi dhalne ko,
Aur suraj ja raha tha.
Tut chuke they hum,
Aur yeh dil fir bhi ga raha tha…