Saturday, April 24, 2010

dil to hai dil

dil to hain dil dil kaa ayetabaar kyaa kije
aa gayaa jo kisee pe pyaar kyaa kije

yaadon mein teree khoyee, raaton ko main naa soyee
haalat ye mere dil kee jaane naa jaane koee
baraso hain tarasee aankhe, jaagee hain pyaasee raate
aayee hain aate aate, hothhon pe dil kee baate
pyaar mein tere, dil kaa mere kuchh bhee ho anjaam
bekaraaree mein hain karaar kyaa kije

chhaye hain man pe mere, madahosh nainaa tere
ghere hain tan ko mere teree baahon ke ghere
dooree sahee naa jaaye, chain kahee naa aaye
chalanaa hain ab to teree palakon ke saaye saaye
bas naa chale re, shaam sawere le ke teraa naam
dil dhadakataa hain baar baar kyaa kije

missing

O Saathee Re, Tere Beenaa Bhee Kyaa Jeenaa
Fulon Mein, Kaliyon Mein, Sapanon Kee Galiyon Mein
Tere Beenaa Kuchh Kahee Naa

Har Dhadakan Mein Pyaas Hain Teree, Saanson Mein Teree Khushaboo Hai
Is Dharatee Se Us Anbar Tak, Meree Najar Mein Too Hee Too Hai
Pyaar Ye Toote Naa, Too Muz Se Ruthhe Naa
Saath Ye Chhoote, Kabhee Naa

Tuz Been Jogan Meree Raate, Tuz Been Mere Din Banjaare
Meraa Jeewan Jalatee Dhoonee, Buze Buze Mere Sapane Saare
Tere Beenaa Meree, Mere Beenaa Teree
Ye Jindagee, Jindagee Naa

hum

hum dosti ehsan bhool gaye hai

jinda to hai par jeene ki ada bhool gaye hai

khushboo jo lootati hai masalte hai usi ko

ehsaan ka badla milta hai kali ko

ehsaan to lete hai sila bhool gaye hai

karte hai moohabat ka aur ehsaan sauda

matlab ke liye karte hai eman ka suda

dar maut ka aur khaufe khuda bhool gaye hai

ab maut par bhi koi pathar nahi roota

ab koi kurbaan kisi par nahi hota

yu bhatke hai manzil ka pata bhool gaye hai

hum dosti ehsaan wafa bhool gaye hai

bhool gaye hai bhool gaye hai

TUMHE YAAD KARTE KARTE

tumhen yaad karte karte,
jaayegi rain sari
tum le gaye ho apne sang nind bhi humari

man hai ki jaa basa hai,
anjaan ek nagar me
kuchh khojata hai pagal khoyi hui dagar me


itane bade mahal me,
ghabaraoo main bechari
tum le gaye ho apne sang nind bhee humari

birha ki is chita se,
tum hi mujhe nikalo
jo tum na aa sako to,
mujhe swapn mein bula lo


mujhe aise mat jalao,
meri pireet hai kawanri
tum le gaye ho apne sang nind bhi humari

PATHAR DEWTA HO JAYEGA……..

sar jhukaoge to pathar dewta ho jayega

itna mat chaho ki wo bewafa ho jayega

hum bhi dariya hai hame bhi apna hunar maloom hai

jis tarf chal padenge rasta ho jayega

mai khuda ka naam lekar pi raha hu dosto

zahar bhi isme ho to tabah ho jayega

rooth jana to mohabbat ki alamt hai magar

kya khabar thi ki mujhe se itna khafa ho jayega

itna mat chaho ki wo bewafa ho jayega

sar jhukaoge to pather bhi khuda ho jayega

kachhi deewar………..

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,

Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko !

Tumko Aankhon Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,

Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko !

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein,

Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko !

Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,

Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko !

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena,

Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko !

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,

Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko !

haste hi jana hai

phir aaj mujhe tum ko bas itna batana hai

hasna hi jeevan hai haste hi jaana hai

madhuban ho ya gulshan ho

patjhad ho ya sawan ho

har haal me insaan ka bas

ek phool sa jeevan ho

kanto me ulajh ke bhi

khushboo hi lutana hai

har pal jo gujar jaaye

daman ko to bhar jaaye

ye soch ke ji le to

takdeer sawar jaaye

is umar ki raaho se

khushiyo ko churana hai

sab darad mita de hum

har gum ko saja de hum

kahte hai jise jeena

duniya ko sikha de hum

ye aaj to apna hai

kal bhi apnana hai

hasna hi jeevan hai

haste hi jaana hai

ghazal ………….. jagjit singh

Sahte Rahe………..

Kaise kaise hadse sahte rahe

Fir bhi ham jite rahe haste rahe

Uske aajane ki umeede liye

Rasta mud-mud ke ham takte rahe

Waqt to guzra magar kuchh is tarah

Ham charago ki tarah jalte rahe

Kitne chehre the hamare aas pass

Tum hi tum dil me magar baste rahe

ghazal********by jagjit singh

muddato baad’


Bekaraar dil ko sukun aa gaya hai abhi-abhi

Rukh baharo ka kuchh badla-badla sa hai

Mujhko tera payam mila hai abhi-abhi

Ek nuur se jagmaga raha hai ghar mera

Umeed ka charag jala hai abhi-abhi

Khilti hui kaliyo ne di hai ye khabar

Dil ka haseen raaz khula hai abhi-abhi

Raanho me bichaye hai phool baharo ne

Yun jo mere sath tu chala hai abhi-abhi

Falak se chand utar aaya hai zameen par

Ankho me tere pyar paya hai maine abhi-abhi

Humne sajali hai ab to apne dilo ki duniya

Muddato baad aaya hai dil ko chain abhi-abhi

‘MERI GHAZALE AUR NAZME’


Ye meri ghazale aur nazme tamaam aapki haqiqate hai

Kuchh khayal-e-lutfe hai aur kuchh aapki shikayte hai

Hamare saare fasane kiya sab aapko hi nazarehai

Jindagi ke hazaro gum ke sath ehsaas hai dard-e-dil ka

Ye dard mauj-e-sabaa hua haiye aag dil ki sada bani hai

Saari mataa-e-hasti ye phool aur ye jakham sab aapke hai

Ye dukho ke nauke ye sach ke nagme sab mere apne hi hai

Wo aapki gurbat aur ye aapki judai jisme kat rahi roz-e-shab hai

Mere jindagi aur jeene ki khawaishe bhi bas aapse hi hai

Jab talq duur na the hum aapke itne kareeb na huye hai

Ek aapke dil me basne ke waste kya-kya sahe hai hum

Yu kare aap ki tamamm umar le le aap hi to meri jaan hai

Likhu to aap ko hi sochu to aapko hi aap hi hum khayal hai

Wo kashish wo khayal wo shayri tammam aap hi hai

Sara-e-jindagi ke har katre-katre par aap hi sumaar hai

*

*

*

(jiye to jiye kaise bin aapke ,lagta nahi dil kanhi bin aapke)

*

*

*

(for my honey)

love is understanding & faith

प्यार वो ख़ुश्बू है जिससे सारा चमन महक उठता हैप्यार वो समझ है जिससे सारी दुनिया शांत हो उठती है

प्यार वो विश्वास है जहाँ अटूट बंधन बाँध लेता है
प्यार वो रंग है जो हर रंग मे मिल जाता है

प्यार बचपन से लेकर जवानी तक एक कहानी लिख जाता है
प्यार जावनी से बुढ़ापे तक एक नई दास्तान बताता है

काश ! हर तरफ़ प्यार ही होता
तो आज दुनिया का एक नया रूप होता

bas pyar hi pyar ho

वो प्यार मै कहाँ से लाउ , जिससे मै तुझे अपना बना उवो बंधन मै कहाँ से लाउ, जिससे मै तुझे बाँध पौऊ
वो सपने मै कहाँ से लाउ,जिसमे मै तेरी दरश पौऊ
वो दुनिया कहाँ से लौऊ, जिसमे तुझे ख़ुश रख पौऊ

वो नूर कहाँ से लाउ,जिससे मै तुझे राह दिखौऊ
वो जज़्बा कहाँ से लाउ, जिससे तेरे बिन जी पौऊ
वो हाथ कहाँ से लाउ,जिसे पकड़ मै जीवन पार लागौऊ
तू लौट के आजा मेरे पास, अब मै धीरज कहाँ से लाउ

कैसे मुस्कुरौऊ,कैसे न आँसू बाहौऊ, मै तेरे बिन जी न पौऊ
हर पल मै तुझे बुला उ,कैसे तेरा प्यार मै भूल जौऊ
जान से भी प्यारा है तू,ये तुझे मै कैसे समझोऊ
वो प्यार मै कहाँ से लाउ,जिससे मै तुझे अपना बना उ

TERI HI AAS

knha khoi hu mai mujhe bhi ehsas nahi hai

teri yaado me hu ya tere pass

itni bekhabar hu ki kuchh bhi elm nahi hai

tere hi gam ka mausam hai

tere hi yaado ki bahar hai

tere bin be noor be rangat ye jindgi hai

aa laut aa meri banho me

khadi hu aaj bhi teri hi raho me

umid ki lau liye hatho me

yaado ki wadi me gujati hai

beete huye afsane tere mere tarane

muhabat ab bhi payasi hai har taraf udasi hai

mere humsafar der n kar

aa laut aa apni hi duniya hai

tham n jay sanse ruk n jaye dhadkan

bas teri hi aas baki hai

mohabbat kya hai…….?????????????

Mohbbat Kya hai ?

Mohbbat Ek Khushboo Hai, Pyar Ka Tarazoo hai,
Mohbbat Ek Khazana hai, Dilbara Afsana hai.
Mohbbat Ek Shairy hai, Yaado Ki dairy
hai,
Mohbbat Ek Bandagi hai, Aashiq Ki Zindagi hai

Mohbbat Dilo Ka Ekrar hai, Aatma Ki Pukar hai,
Mohbbat Jeene ki Chaahat hai, Diwangi Ki Darkhwast hai.
Mohbbat Mano ka Milan hai, Khwabo Ka Tallab hai,
Mohbbat Prem Ka Ankoor hai, Dikhne me Meetha par Khatta Angoor Hai.

Mohbbat Dhadkano Ki Aawaz hai, Madhur si Saaz hai,
Mohbbat Milan Ka Ekrar hai, Judaai Ka Bukhaar hai.
Mohbbat Jigar Ki Muraad hai, Khwabo Ki Baarat hai,
Mohbbat Jazbaato Ka Mela hai, Pyar Ka Silsila hai.

Doobte Hue Ka Saahil hai, Registaan Ka Zil hai,
Gulsan-E-Mehfil hai, Meetha-sa-vaar par bada Kaatil hai.
Musibato Ki Dhaal hai, Sulgati Hui Mashaal hai,
Swapno Ki Jaal hai, Dooniyawalo Ke Liye Misaal ha

TUM MERE SATH HO—————

Tum payar ban ke mere pass ho

Tum yaad ban ke mere sath ho

bhale koi mere sath chala kare

bhale koi mere sath raha kare

bhale koi mujh se payar kare

bhale koi mujhe apna kahe

Tum payar ban ke mere pas ho

Tum yaad ban ke mere sath ho

bahle tum ab mujh se nafrat karo

bhale ab mere sath chalo na chalo

bhale mujh se ab door raho

bhale khuchh kaho, na kaho ajnabi bano

Tum payar ban ke mere pas ho

Tum yaad ban ke mere sath ho

bhale fursaton main socha nahi

lakin tumhain kabhi bhoola nahi

bhale tum se kabhi kaha nahi

lakin tum bin kabhi raha nahi

Tum payar ban ke mere pass ho

Tum yaad ban ke mere sath ho

INTZAAR MERA————-

hum marte rahe jinke liye,kiya hai katle aam mera
har pal jinko chaha,esko naam diya ehsan mera

siskti rahi raat meri,din ko bhi n chain paya
umar gujarti rahi intzar me,wo pal n aaya
wo karte hai gunah,par unki nazaro me khud ko gunhgaar paya

hamne jo n kabhi soocha jo n kabhi chaha

bas meri jindagi ne kuchh aisa hi manzar paaya
doobte rahe aashko me
har tarf majhdhar hi majhdhar paya


hai jindagi meri kuchh aisi,ab n raha koi dost mera
shama ki tarah jalti rahi,n raha ab kisi ko intzar mera

AANKHE

TUM LAUAT AAO NA,

TUM LAUAT AAO NA


WO DEKHO CHAAND NIKLA HAI,
SITARE JAGMGAE HAIN,
TMHARI MUNTAZIR AANKHEN,


DUAEN MANGTI AANKHEN,
TUMHE HI SOCHTI AANKHEN,
TUMHAIN HI DHOONDTI AANKHEN,


TUMHEN WAPIS BUlATI ; HAIN,
YE DIL JAB BHI DHADAKTA HAI,
TUMHARA HI NAAM LETA HAI,


YE AANSOO JAB BHI BEHTE HAIN,
TUMHARE DUKH MAIN BAHTE HAIN,
BARISH JAB BHI HOTI HAI,
TUMHE HI YAAD KARTI HAI,


KHUSHI KOI JO AAE,
TMHARE BIN ADHOORI HAI,
TUM LAUAT AAO NA,
TUM LAUTA AAO NA.

MERI YE….

YE DOORIYAN, YE NAZDIKIYAN

YE KHAMOSHIYAN ,YE TANHAIYAN

JAAN LEWA HAI TUJHSE DOORIYAN

PAL PAL DIL DHADKTA HAI,

BAS KARTI HU INTZAR TERA

KAB KHATAM HONGI, YE TANHAIYA

HAR TARAF FAILEE HAI BAS

TERI HI YAADEN

TERI HI PARCHHAIYAN

JANTI HU TU MERA HAI, BAS MERA HI HAI

JI CHAHTA HAI AB TOOT JAAY

MERI YE KHAMOSHIYAN

KAUYO DETE HO

BAAR BAAR MIL KE BICHHADNE KI SAZA KAYO DETE HO

TANHA SAFAR ME PAYAR KI EK UMID KAUYO DETE HO

KHATAM KARO YE KHEL BHI AB ,AISI SAZA KAYO DETE HO

N JEETI HU N MARTI HU ,MERI JAAN MUJHSE HI KAYO LETE HO

PASS HO YA DOOR , EK ANJAANA DAR, MUJHE HI KAUYO DETE HO

JANTI HU TU MERI JINDAGI HAI, FIR YE MAUT KAYO DETE HO

MAI TERI HU YE BHI SACH HAI, FIR YE PARAYAPAN KAYO DETE HO

KHUSHIYA HAI BHARI DAMAN ME MERE FIR YE ASHAQ MUJHE KAYO DETE HO

PHIR SE…..

yun laut aao keh ek bar phir se mera jeevan
tumhare sath ki narm loa se yun chamke
keh jaise khoi hui titli ke udass jeevan me
kahin se aas ka ek jugnu sitara sa chamke.


yun laut aao keh ek bar phir se mera wajud,
tumhare sath ke rangon me kuchh is trah range,
keh jaise rat me phaile sagar ki koi tarpti lehar,
haseen chand ki narm roshni me behake.



yun laut aao keh ek bar phir se mera ehsas,
tumhare sath ke naghmon ke sahar me dube
keh jaise madhur sargoshi ka koi khoya hua saaz
apne suro ke jaltarang se khud hi lehke.


yun laut aao keh ek bar phir humho jaai ek rang
tumhare sath ke hasen palo se yun munawar hoon,
keh jaise sham ke aasman pay phaili hoi shafaq
zameen O aftab ke milan se sharma ke damke
.

NA POOCHHO

MERE YAAR AUR MERE PAYAAR KI BAAT N POOCHHO

MERE PAYAR KI HAD AUR MERI BEKARARI N POOCHHO

KAB SE CHAHA KITNA CHAHA YE SAWAL N POOCHHO

UNKE SIWA MAUT KO BHI N CHAHA

UNKO CHAHA YA JINDAGI KO YE SAWAL N POOCHHO

EK PAL NA SOCHA KHUD KO HAMSE YE SAWAL N POOCHHO

KIS PAL UNKO N SOCHA N DEKHA

WO MUJHME HAI YA MERA WAJUD USME YE SAWAL N POOCHHO

MISSING IN MY LIFE

Everyday is the same, the
birds fly and come back again,
the sea rushes to the shore,
the moon shines for the night,
the stars twinkle to prink the sky,
and you’re always on my mind

I feel something’s wrong in my life,
everything’s nice but still i dislike.
everyone’s talking but i’m quite,
every one’s happy but i’m sad
every one tires when the day drags,
but i’m tired before the day starts
staring to the glassful of wine, i feel
you’re missing in my life.

MERE SANAM

AB TO HAI HAR PAL INTZAR TERA

JAB YE HAWAYE AATI HAI

TERI KHUSBOO LATI HAI

JAAGTI AANKHE BHI AB TO

SAPNE DIKHATI HAI

TERE AANE KE INTZAR ME

NEED NAHI HAI AB ANKHO ME

DIL KI DHADKAN BHI BAS

TERE AANE KI AAHAT SUNTI HAI

DIN HAI KI GUZARTA NAHI HAI

RAAT HAI KI KATTI NAHI HAI

MERE SANAM MERE PASS AA

DIL SE BAS YAHI DUA NIKLTI HAI

DOOR HO JAYGI GAM AUR TANHAI MERI

TERE PASS AANE SE MERI MAHFIL SAZTI HAI

NOOR HI NOOR HOTA HAI

DUNIYA MERI RANGEEN HOTI HAI

HAWAOO N ME SANGEET GUJATI HAI

MERE DILBAR YE DIL BAS TERE LIYE HI DHADKTA HAI

MERE SANAM MERE PASS AA

MERE SANAM MERE PASS AA

FOR MY VALENTINE....Deven panthi

मोहब्बत के सफ़र में ,कुछ पल रुक जाए
प्यार के महकते गुलाब आज फिर ले आए


चाँदनी ने की है रौशन सारी फ़िज़ाए
आफताब-ए-गवाह को भी संग बुलाए


तुम मेरी साँसों को महसूस करो दुबारा
तेरी धड़कने सुनू मैं,यू ही गुज़रे वक़्त सारा


कुछ तुम कहो,कुछ हम कहे,कभी खामोश नज़ारा
पल पल मिलकर सजाए,बहती जीवन धारा |

HAPPY VALENTINE DAY

RAAZ

फ़िज़ा के रंग कुछ सवरने लगे है
हवाओं के रुख़ कुछ बदलने लगे है


सुस्त सी सर्दियों पर बिछी सूरज की रश्मि
दिल में तम्मनाओ के काफिले निकलने लगे है


मौसम में छाई है बसंती बहार
मंन में सज रहा मोहब्बत का खुमार


पपिहरा नये गीतों से वादियाँ चहकाना तुम
सावरिया आए मिलन जब,ये राज़ ना बताना तुम

wo tum hi to ho

वो तुम ही तो हो

रहता है जो इन झील सी निगाओं में
बन कर ख्वाब मेरे,वो तुम ही तो हो |

नाम लेती हूँ जिसका मेरी सांसो में
ज़िंदा हूँ मैं जिस कारण,वो तुम ही तो हो |

सुनना चाहूँ मैं हर पल अपने कनखियो से
जो मधुर मीठि वाणी,वो तुम ही तो हो |

जो दौड़ता है मेरी नस नस में लाल रंग
पहुचता है दिल तक मेरे,वो तुम ही तो हो |

किसी भी मोड़ पर,ज़िंदगी की राहों में
जो शक्स मिलता है मुझे,वो तुम ही तो हो |

जो बहता है बनके गीत मेरी अधरो पर
वो नज़्म खालिस,वो तुम ही तो हो |

जो चलता है हर वक़्त साथ साथ मेरे
वो अपनासा साया , वो तुम ही तो हो |

पहना है जिस्म पर मेरी जो शृंगार
वो खूबसूरत गहना,वो तुम ही तो हो |

जिस अज़ीज़ के बिना मैं हूँ अधूरी अधूरी
मुझे सपूर्ण करनेवाले,वो तुम ही तो हो |

जिसे माँगा है हमने खुदा से इबादत में
वो दुआ हमारी,वो तुम ही तो हो

TERE LIYE

HUM JEETE RAHE

JALTI BUJHTI AAS LIYE

KUCHH SACH

KUCHH SAPNO KO SATH LIYE

JAB HUM SATH RAHE

TERE PASS RAHE

DOOR HUYE TO

TERA HI SATH LIYE

HAR PAL HUM

ROOTE HASTE RAHE

PAL PAL DIL ME

TERE MILAN KI AAS LIYE

JEEVAN SANDHYA

LAGNE LAGI HAI

PASS BULALO

BAHO ME PAYAR BHARA

UJIYAARA LIYE