Saturday, May 15, 2010

Teri Yaaden………….

Teri Hi Yaado Ne mere Dil Ko Saja Rakha Hai
Tere Hi Payar Me Maine Sab Ko Bhula Rakha Hai

Be Rangat Lagti Hai Ye Duniya Teri Judai Ke Baad
Ek Teri Hi Yaad Ko Sine se Laga Rakha Hai

Tera Milna To Kabhi Ek Khawab Hi Lagta Hai
Na jane Kis Bhulaye me Dil Ko Bhula Rakha Hai

Muqadar Se Mile Hai Bichhadne Ke Baad
Fir Bhi Tera Hi Naam Dil Me Saja Rakha Hai

Na jane Kayu Koi Nahin Basta Tere Siva Aankho Me
ek Teri Hi Tasveer Ko Maine Dil Main Chhupa Rakha Hai

wo lamha………

wo waqt wo lamhe ajeeb the

duniya me ham bhi kabhi bade khush naseeb the

door se hi hamitna yaad karte the

kaisi rut-e-bahar thi jab ham ek dusre ke kareeb the

lamha lamha ham teri bahao me pighalte the

do aankho se ek hi khawab dekhte the

meri palko aur tasauar me aap hi hote the

khawb palko se n gir jaay khauf me ham jeete the

kasak si ek dil me rahti thi hamesha

sukun n milta tha hot khamosh se rahte the

tadapti rooh thi meri tanhai bhi sath hote the

lamha - lamha katra -katra ham gam-e-jindagi me jeete the

Khayal Aaya Hai……….

unse jab bhi kuchh kahne ka khayal aaya hai

badi mushkil se hamne apne lafzo ko sazaya hai

par jab bhi aap samne aate hai

hoto par zamaye sare bol bikhar jate hai

halak par awaj aane par kuchh dar to lagta hai

magar jab bhi hum kuchh kahne ko hote hai aap guzar gaye hai

aap se ham yu to kuchh kah nahi paate

haar kar apne zazabaat panno par sazaya hai

shayad aaj aap ki nazare inayat hogi

yahi soch aaj hamne wo kagaz aapko dikhaya hai

umeed ki samma jalne lagi hai

aap mere hai ye hi har pal mere dil me khayal aaya hai

Ho Na Ho………………..

Ho Na Ho………………

Kal hame fursat ho na ho

Daman me itni mohlat ho na ho

Roj kahte ho tum kal milenge

Kal aankhe khule na khule jaane kya ho

Ham kahe na kahe tu samjh le mahiya

Kal lab khule na khule jaane kya ho

Mere jaan tu mujhme yu hi samaya rahe

Bahare fir aaye na aaye jaane kya ho

Aaj jo khumari hai thodi jo udasi hai

Kal ye manzar rahe na rahe jaane kya ho

aaj fir…………….


Aaj kiya phir se zikr kisi ne tumhara

Halke halke ye waqt tum yaad aane lage

Palko ke darwaje ko band kiya maine jab

Aur aansu ban kar har lamhe gujarne lage

Bebasi itni ki fir se ham saham gaye

Bar bar rabba mere rabba mere kahne lage

Kabhi wada kiya tha jo taqdeer se

Aaj har kasme har wade yaad aane lage

Milke jo aansu bahaye the hamne

Aaj ham sath sath us dariya me bahne lage

Meri Har Baat……………..

Meri har baat me uski hi baat rahti hai

Har pal bas uski hi aas rahti hai

Wo samjhte hai mere dil ki har baat

Isiliye ye zubaan khamosh rahti hai

Mere dil ki dhadkan meri jaan hai wo

Mere har khayal me bas usi ki yaad rahti hai

Duniya me wo hi hai sabse payara mujhe

Isliye meri har baat me uski baat rahti hai

Uske aajane se aajati hai chehre par ronak

Wo na ho to meri duniya udas rahti hai

Mere har shai se aati hai khushbu uski

Meri har baat me uski hi baat rahti hai

Wo meri rooh ka sukun aur mannat meri

Aur kuchh na jaanu pahlu me uske meri jannat rahti

baat hui >>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Pehli baar jab hamari tanhai me mulakat hui

Dono dilo ke har kone me phulo ki barsat hui

Unke hoto par jo machal aai wo ek muskaan hui

Lekin mujh tak aate aate wo ek sugaat hui

Chand sitare bhi usko dekhate the

Shab bhar aankho hi aankho me hamari baat hui

Dilo ka aalam na poochho yu jajab huye ham

Dadkano ko bhi yaad nahi kab raat hui aur kab prabhat hui

payar…………………………..

Payar ke jabab me paya payar hai

Sawarg yanhi isi zami par utar aaya hai

Samjh lete hai mere dilbar khud hi dil ki

Sir uske samne khud hi jhuk jata hai

Thi padi kabhi kitabo me aisi baate

Samne aaj haqiqat kuchh aise hi aaya hai

Khawb huye sach din bhi badla hai

Aise hi dino ki chah ab to din raat hai

kiya hai…………….

waqt ke dariya me hum bah to nikale

mauj-e-rookh hamne khud hi modh liya hai

thake huye musafir ki tarah

unke pahlu me her sham guzaar diya hai

manzil to sath hi thi fir hamne hi kyu

unhe raah chalne par majboor kiya hai

khuda ke rahmo karm par tha yakeen

par waqt ne kuchh is tarh imtihaan liya hai

lekhni bhi thak gai hai ab

aaj unhe bas yahi paigaam diya hai

guazre waqt me laut aayen hai

kare na yaad hame kah unko salaam kiya hai

aa gaye …..

khawabo ke hi raste hum sath-sath kanha aa gaye

aaj khushi me maut ko bhi hum gale laga gaye

sukun hasil hua hai mujhe aaj kaise kahu is duniya se

mere chaman ke saare phool khud hi raho me bichh gaye

tamanao ki taqdeer sawar gai hum to tere payar ki barish me naha gaye

bin payal hi hum to yu nache ki jindagi ke saare taar khud-b-khud hi jhankirt ho gaye

itni muhabbat……………………

Jab ham izhare muhabbat karte hai

Wo to meri rag-rag me sama jata hai

Meri har saans meri dhadkne bhi hai tu

Lahoo ban kenas-nas me daud jaata hai

Meri har tadap me meri har kasak me

Meri jaan bastera hi naam aata hai

Udas man mera bas meri jaan tujhse hi

Jahaan bhar ki khushiya hasil kar pata hai

Har baat me bas teri hi baat ho

Ye dil bas yahi duawo me bhi asar chahta hai

Itni muhabbat me to khuda bhi mil jaata hai

Mera khuda to mere aas pass hi nazar aata hai

Kashtio ko ek din kinara yu hi mil jaata hai

Sadiyo se har ashiq iski lehar me

tujhe……………….

Nadan hai ye dil kaise tujhe bhool payega

Koi kona is dil ka ab sada ke liye so jayega

Tham jayengi ugliya nabz bhi zam jayega

Fir panno par ye kaise bayaan ho payega

Tera shehra hai bahut door ab lagta

Bin parwane kekya samma pighal payega

Deewre na hoti to hum nibhate rashm-e-dastur

Hai sawal ek Kya mere bin tu rah payega

Jindagi har mod par leti hai imtahaan

Kab tak ye bojh ye dil yu hi udha payega

Hai tamanna meri bhi ab kash !tu mujhe bhool jaay

Mere ghazalo me ab tera kabhi

ye samandar………………

Ye samandar ki lahre aur sahil ke kinare

Pass bulate hai hume bahan pasaare

Rait ke gharaude banate hai hum aur

Likhe ek-duje ka naam ungliyo ke sahare

Hai Neela samnadar aur aasma neela

Dekho to kitne haseen lagte hai ye nazare

Sham dhale door kanhi din-rain mile

Ye sindoori sham le aaye unhe pass hamare

Aati jaati mauje dil ko lubhaye humare

Beete lamho ki sari yaadein hai sath hamare

Greeny Anjuna Beach

shart-e-wafa…………

Is zamane se hume koi gila nahi hai

Dil lagane me koi shart-e-wafa bhi nahi hai

Ishq me tere is kadar doobe huye hai

Khushi-o-gum ka hume zara bhi ilm nahi hai

Na dikhaya kabhi apna zakham-e-dil

Dard hota hai phir bhi dil ko daba rakha hai

Tujhe to bhool se bhi nahi bhool paate hai

Teri yaado ko to seene me chhupa rakha hai

Isaq me duniya- jahan ki parwah nahi hoti hai

Bas tere lautne ka har-pal intzaar karte hai

Kab tak ye raaz tumse chhupaye rakhe dil me

Jindagi se bhi jayada tumko payar karte hai

PEHLU ME USSKE………….!

Meri har baat me uski hi baat rahti hai

Har pal bas uski hi aas rahti hai

Wo samjhte hai mere dil ki har baat

Issiliye ye zubaan khamosh rahti hai

Mere dil ki dhadkan meri jaan hai wo

Mere har khayal me bas usi ki yaad rahti hai

Duniya me wo hi hai sabse payara mujhe

Issliye meri har baat me uski baat rahti hai

Uske aajane se aajati hai chehre par rounak

Wo na ho to meri duniya udas rahti hai

Mere har shay se aati hai khushbu uski

Meri har baat me uski hi baat rahti hai

Wo meri rooh ka sukun aur hai Sara-e-mannat meri

Aur kuchh na jaanu mai pahlu me uske to Sara-e-jannat rahti hai

TUJHSE PYAR KITNA……………!

Mere hi dil se poochho ki hai mujhko tujh se pyar kitna

Samandar ki baanho me mauze bhi na ho jitna

Rab se hi manga hai tujhko Rabba hi kare khair

Ab to sanam tere hi pyar me mujhko hai mar mitna

Payar ki ranho me milenge hazaro gam sanam

Sath na mera chhodna tujhse iltja hai sirf itna

Bahare aati jaati hai mausam lete hai rang kai

Chahti hu mere dilbartujhe mai itnaa

Naa chaahaa ho kisine kisii ko jitnaa

Saari duniya sara janhaan hai kurbaan tujhpar

Mere sanam tum bin iss dil ne to kuchh bhi na jaana

Dekha hai teri hi aankho se iss duniya ka har ek nazaraa

Jana hai tujhko hi iss janam ka khuda maine hai jaanaa

PAYAAR KYA HAI ?????????????

payaar kya hai ?payar karke dekho

iss rang me doob ke dekho

payar khuda ki inayat hai

uska karam uski meherbaani hai

aankho me sapne dil me umde huye jajbaat hai

uski hi bandagi uski slamati ki dua din raat hoti hai

mahfil me bhi ho to bhi tanhai sath hoti hai

pass wo ho to sukun hai door ho to jindagi murjhai hoti hai

saanse mehake uske khayalo se ek alag hi duniya sazai hoti hai

tanhai me bhi dhadkane bas uske hi nagame gungunati hai

ye payar khuda ka wo noor hai jisse Sara-e-duniya roshan hai

mil jay ye payar to jindagi hai na mile to maut ki inayat hoti hai

PAL BHAR KI DOORI…………!

Tujhse pal bhar ki doori ye dil kyu nai sah paaye

Payasa dil bas tere himilan ki aas jagaye

Har pal teri yaad sataye ye dil kanhi chain na paaye

Tu dil me bas ke dil ko pal pal meetha sa dard jagaye

Tere payar me rehti hu hardam in palko ko bichhaye

Tujh bin kyu mujhe kuchh bhi na bhaye

Saato rang lage jhoothe aur ye mausam paraye

Sang tere hi kyu udd jaay meri khushiyo ke saaye

Raate kyu lage ghaneri din lage bujhe bujhaye

Sang tere udd jaane ko kyu man mera lalchaye

Bhar ke aankho me nami ye raat akeli tanhaai laaye

Duur gagan ka tanha chand meri tanhai aur badhaye

Peele patto ki ye ruut dil ka dard aur badhaaye

Meri jaan tum bin mujhe kuchh bhi raas na aaye

Sheetal madhosh pawan veerhn ko tadpaa jaaye

Door desh me tum bin hum bhi bahut akele

Sang thandi pawan piya ka ye sandesha aaye

Thursday, May 13, 2010

NEED KE GAAON ME…………!

Palko ki chaaw me need ke gaaon me

Raat bhar bas yu hi khawab aate rahe

Khwab kuchh tere the kuchh mere

The hatho me hath phir bhi

Wo hume aur hum unko yaad aate rahe

Khawab kuchh ankahe se lage

Khawab kuchh ansune se lage

Gulo ki tarah mahke se khawab

Raat bhar bas mehakte rahe

Beete dino ki yaad thi

Wo shayad pehli mulaaqat thi

Khawb me bhi wo ruh ko mehkaate rahe

Na jaane kanhaa se aaye wo khawab

Na jaane kidhar chale gaye

Phir kuchh dhudhla sa hua

Aur hum jaagte sote rahe

Need se aankh khuli to

Socha wo khawab tha ya haqqiqat

Jaane kaisi thi paheli jise hum ab tak suljhate rahe